Image and video hosting by TinyPic

Sunday, October 4, 2009

Tanhai

Karte hain raaz ki baat mai aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Karte hain basar raat main meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Karte hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai…

No comments:

Post a Comment