Image and video hosting by TinyPic

Sunday, October 4, 2009

Yaad

kia haseen shakle thi sarabon main
milne aya jo mujhe ko khawabon main
khoon e dil se jalaye hain phir bhi
na hovi roshni charaghon main
teri ankhon se jo mila mujh ko
wo nasha kahan sharabon main
main to taray shumar karta hon
tu para hai kahan hisabon main
tazkara aur phir wafaon ka
ab milega tujh ko nisabon main
har taraf tu hi tu lagey janaa
go rahe lakh tu hijabon main
yad jab bhi teri satati hai
dekh leta hon tujh ko khawabon main*

No comments:

Post a Comment