Image and video hosting by TinyPic
Showing posts with label Sad SMS. Show all posts
Showing posts with label Sad SMS. Show all posts

Sunday, October 4, 2009

Zindagi

umeed ban kar log zindagi mein atey hein
khab ban kar ankhon mein sama jaty hein
pehly yaqeen dilaty hein k wo hamary hein
phir najany keuon tanha chor jaty hein

Tum Bin

kaisay jiyan gay tum bin

yeh kiyal tu kiya hota

jo dard saha hum nay

wo dard tum nay bhi kabhi saha hota

bas chal diya daman chora kay

begano ki tarah

kam say kam has kay ik dafa alvida too kaha hota

Doori

Tumsay doori ka ehsas sataney laga.
Tere sathh guzra her lamaha yaad aney laga
Jub bi koshish ki tuje bhulane ki
Tu dil ke aur kareeb aney laga….

Tanhai

Karte hain raaz ki baat mai aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheer mai
Karte hain basar raat main meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chor jain saath
Laikin rahain gay saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Karte hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhain gay saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai…